Tuesday 15 March 2016

bas thu chota hi reh

bada hoga tho tereko lagega thu shaandar banega
tera battery car nahin Honda ki civic rahegi tere haath mein

jab bhi baahar jaayega thu apna card swipe karega..
aur ghar aaye guests joh tofa denge.. woh tera actual purse mein jaayega

tere dost log tereko milne gaadi pe aayenge
tereko saath leke jaayenge raath ko late tak gappe marenge..

office ke party hogi toh bahut masti hogi
colleagues ke saath nachega..thode logon ke saamne hero banega..
ek do awards lega stage pe jaake...

yaar sunle baath...

ye duniya eise hi nahin dene waali ye sab..

har ek taali ke sound ke peeche rahega ek asoon tera
har ek masti ke peeche ek jor ka jhatka..

jis ka saath leke shuru hothe hon...
aadhi doori ke baad pehchaan nahin ppaoge..


tera har ek manjil ke peeche rahega tera akelapan ka story

kabhi kabhi lagega yaar  papa ne ye sab kyon nahin bola..

aur dard hoga tho lagega yaar bhagwan dikhte kyon nahin..
 kandha tho do yaar jindagi mushkil hogayi he

woh purane hindi gaane bahut sense banne lagegi..

aur ye bologe.. "old is gold.."


dhire dhire aage badega aur zindagi samjhayegi..toh eisa hi kuch likheka..

isiloye bol rahan hoon yaar ani..

bas thu chota hi reh.. yaad rakhle bas thu chota hi reh

No comments: